Introduction:- Aaj ke time mein log apne paise ko sirf bank me rakhna nahi chahte — sab chahte hain ki unka paisa kaam kare, bade, aur unhe financial freedom mile. Lekin investment ka naam sunte hi dar lagta hai — kahin nuksan na ho jaye?
Agar aap bhi ek beginner hain aur soch rahe hain ki "nivesh kaise shuru karein?", to ye blog aapke liye hi hai. Yahan hum baat karenge un 5 simple aur safe tarikon ki, jinke through aap bina stress ke share bazaar me invest kar sakte hain.
1. Demat Account Kholna – Pehla Kadam Share market me invest karne ke liye sabse pehle aapko ek Demat account ki zarurat hoti hai. Ye ek digital locker hota hai jahan aapke shares electronically store hote hain.
Popular Platforms:
- Zerodha
- Groww
- Upstox
- Angel One
Kholne ke liye chahiye:
- PAN Card
- Aadhaar Card
- Bank Account
- Mobile Number &
- Email ID
➡️ Pro Tip:- Zerodha aur Groww jaise platforms beginners ke liye kaafi user-friendly hain.
2. SIP (Systematic Investment Plan) – Har Mahine Thoda Thoda Agar aapke paas ek saath bada amount nahi hai, to SIP ek best option hai.
Isme aap har mahine ₹500, ₹1000 ya jitna chahein utna invest kar sakte hain Mutual Funds me — wo bhi automatic.
Kya fayda hai SIP ka?
- Regular saving habit banti hai
- Market ke high-low se average ban jata hai (rupee cost averaging)
- Long term me accha return milta hai
➡️ Best for: - Students, job starters, ya wo log jo low risk chahte hain.
3. Index Funds – Asaan aur Safe Investing Index Funds ek aise mutual funds hote hain jo Sensex ya Nifty 50 jaise index ko follow karte hain. Inme invest karna matlab aap pura market portfolio le rahe ho, wo bhi kam risk ke sath.
Kya khaas baat hai?
- Low fees
- Passive management (market ke according chalti hai)
- Long-term growth potential
➡️ Beginner investors ke liye best hai, kyunki stock pick karne ki jhanjhat nahi hoti.
4. Blue Chip Stocks – Vishwasniya Companies Me Nivesh. Agar aap direct stocks me invest karna chahte hain, to pehle Blue Chip Companies se start karein. Ye wo companies hoti hain jo market me established hain aur unka financial record strong hota hai. Examples:-